Posted by: Richa in: ● September 3, 2009
Aaj hum aapko sikhayenge ki aap kaise bana sakte hain ek aisa TV Serial jisme ho-“Reality”, “Drama” aur saath hi itna swaad jo channel ki TRP rating ko aasman ki sair kara sake.
Iske liye jin ingredients ki hame zaroorat hai wo hain:
1) 8 se 10 aise celebrities jinka kabhi na kabhi vivadon se vaasta raha ho. Agar nahi, to aise celebrities bhi challenge jo fizool ka vivaad paida karne me sankoch na karen.
Waise agar aapko Rakhi Sawant ki dates mil jaayen to wo akeli hi kaafi hai,(“Rakhi Ka Swayamvar-Season2”).
2) Male ke saath saath female ratio ka bhi khaas khayaal rakhen… Jitni zayada females, utne kam kapde, aur utne hi zayada darshak(Viewers). Aap chahen to bathroom ki jagah, open area me artificial bhi laga sakte hain… Aisa karen se female celebrities bikini me aakar wahan nahayengi jo show ke liye laal mirch ke tadke ka kaam karega.(“Is Jungle Se Mujhe Bachaao”)…
3) Show me jagah jagah par beep ki aawaz daalna na bhoolen. Aisa karen ke liye un celebrities ka istemaal karen- Gaaliyan jinke finger tips pe reheti hon aur gussa naak par. Ek episode me normally ek jhagada(fight) aur usme lagbhag 8-10 baar beep ki aawaz daalna show me jaan daal deta hai.
4) Apne serial me emotions ka chonk daalne ke liye celebrities ko rulaayen… Namkeen aansuon(tears) ka istmaal swaad anusaar karen… Iske liye sabse appropriate celebrities ho sakte hain- Monika Bedi, Gohar Khan, Shweta Tiwari, Raja etc…
5) Celebrities ko gande gande task dekar jaise ki earthworms ka noodle khana(“Is Jungle Se Mujhe Bachaao”), aap apne show ki khushboo badha sakte hain, aisa karne se darshak(Viewers) aapke show ka besabri se intzaar karenge…
6) Khana jitni zayaada der tak gas par pakta hai utna hi zayaad tasty hota hai… Agar aapko apne TV show ke episodes thode kam lag rahe hon to uski avadhi badhane ki koshish karen. Iske liye aap Wild Card Entry jaise masaalon ko upyog kar sakte hain…
Yun toh show ka swaad TRP badhane ke bahut se tareeke hai… Par sab se useful tareeka hai (Jo aaloo ki tarah kisi bhi sabzi me dal jata hai), logon ko aapas me ladwana (Fighting between celebrities).
Ye sab masale aapke show ko chat-pata banana ke liye kaafi hain. Inki help se aap ek superhit TV Reality Show bana sakte hain.
1 | Amit
2 de January de 2010 to ● 7:18 am
Very Nice. Sabki kalai khol ke rakh di. Doodh ka Doodh Pani Ka Pani.
Recent Comments